Wednesday, May 26, 2010

Pata Nahi Kyo

kisko pta ki mitti ke kachhe ghade par bani wo aakritiyan,
jinko ye bhi nhi pta ki unka kal kya hoga,
dekho wo aakritiyan kitni pyari lag rahi hai,
Par En aakritiyon ko maloom nhi h ki ,
unka aadhar jis par wo bani h wo kachha hai,

Kachha hai wo itna ki paani ke sparsh se toot jaye,
Kachha hai wo itna ki halki si thoker se bikhar jaye,
Es kachhe aadhar ke sahare apni sunderata ko,
Dikhati ye aakritiyan jo kisi ka bhi man jeet le,

Par Jisne En aakritiyon ko banaya hai ,
wo kaise khush ho rha hai apni kala par,
ye jante huye bhi ki pta nhi ye kachha mitti ka ghada ,
Agni me pakne ke bad surakshit bhi bach payega ya nhi,

Es ghade ko wo dobara dekh bhi payega ya nhi,
Wo ghada pakne ke baad kisi ke kaam aayega ya nhi,
Pta nhi wo jaisa hai waisa hi rahega ,
ya khodegqa apni sunhari aakritiya aag me jhulsne k bad,

Par suchhai to ye hi hai ghada pak bhi gya to,
uska aadhar pahle se to majboot ho jayega ,
Kyoki ab paani or halki toker se wo tootega nhi,
ab to hum paani ko ghade me bharker rakh skte h,

Par mujhe lagta hai wo or bhi kamjor ho gya hai,
kyoki ab jo aakritiyan dhundhli lag rhi h us par,
wo dobara nhi chamkayi ja sakti hai or jo mit gayi h,
un aakritiyon ko ab dobara nhi bnaya ja sakta hai,

Abhi bhi wo kuch unchai(height) se girane k baad,
toot kar bikhar jayega phir kya jrurat thi usko pkane ki,
un chamakti aakritiyon ko dhundhla banane ki,
kyo wo itna khush tha jisne ese banaya tha ye sab jante huye...........!

1 comment: