Tuesday, May 4, 2010

Waqt Badalta Rahta hai

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
es badalte waqt ke sath bhut kuch badl jata h,
jaise deewaron par lga rang, pedon ke patton ka tutna or phir se nai patte aa jana,
to kabhi gaon ke mohalle ka wo toota-phoota rasta,
achha lagta h jab ye sab badlta h,

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
Achha lagta us chote se gaon ko chodkar shahar me aa jana,
Achha lgta hai wo phone Line ka mere gaon tak jana,
Achha lagta h bijli ke khambhon ka mere gaon tk phuch jana,
Par achha nhi lagta sadkon ka khali rah jana,
sab achha lgta h......

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
Par achha nhi lagta kisi apne ka ,
hawa k rukh ke sath badal jana,
Accha nhi lagta wo bachpan ke din beet jana,
Achha nhi lagta us gaon ki galiyon ka mujhse ruth jana
nhi achha lagta h mujhe..........

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
nhi achha lagta band kamre me waqt bitana,
mujhe achha lagta tha neem ke ped ki ghani chaon me charpai bicha kar so jana,
mujhe achha lagta tha Maa ke hath ki bani pahli roti ke liye jhadna,
Par nhi achha lagta naan khana,
mujhe achha lagta tha ,wo beeta hua jamana........
Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
kabhi achha lagta tha wo baat- baat par ruth jana,
achha lagta tha wo Pitaji ka mujhko manana,
Achha lagta tha chachaji ke sath ghoomne nikal jana,
Par aaj achha lagta h , un lamhon ko yaad karke aankho me pani aa jana..............

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
kya wo beetein pal phir se aayege,
Agar nhi to......... Achha lagta baar - baar unhein khayalon me lana..........

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h

No comments:

Post a Comment