Monday, July 5, 2010

Kya hoga Ager Hum Mil Na Payege

Kitni mushkile hai rahon,
Kitne katein chubhe hai paon me,
ye hum kisi ko bta na payege,
Kya hoga ager hum mil na payege,

Duniyan ki rashme purani hai,
Riwajon ki bhi lambi katar hai,
En rashmon ki deewar ko kaise girayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Mushkilon se bhara hua hai rasta,
Or har taraf taraf andhera chaya hai,
ab hum apne aapko kaise bachayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Toofan se bhare ye din or raat hai,
or us par barish bhi ghani hai,
Aise me kab tak aasha k deep jalayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Ek pal aayega aasha ka sawera lekar,
Nirasha bhara pal kho jayega ,
Es soch ke sath ab jeevan bitayege,
kya hoga ager hum mil na payege.