Tuesday, September 28, 2010

Mera Aashiyana

Jab bikhar gya mera aashiyana tinke-tinke,
Taak rahi thi mein sahmi si ek-ek tinke ko ,
Par kuch tinke taar-taar ho gye hai ,
Waqt ke sath go chuke hai apni pahchan ko,

Kise pta tha ki ye din bhi aayega jab ,
Ek hi aagan me khadi hogi deewar ,
Or tootege sapne apno ke sath rhne ke,
Rah jayegi jhulasti hui aashayen,

Kisi ne nhi poocha mujhse kaise ye ,
Chota sa aangan sajaya tha meine ,
Gujara tha bachpan apna jisme ,
Aaj bachpan ke sath-sath wo aangan bhi nhi rha,

Unhen nhi pta hai kaise ek-ek tinka sanjoya tha,
Wo to bus apne -apne hisse ke bare me soch rhe the,
Or sb kuch kam pad rha tha unko,
Or kam ho bhi kyo na us aasiyane ki,
Tulna tukdo se jo kar baithe the wo,

Unhe nhi hai aabhash kya kiya hai unhone,
Unhe nhi pta hai kadakti dhoop se kaise bachna hai,
Shayad esliye unhone sapne dekhe bhi to es,
Asshiyane ko taar taar krne ke..............

Kya ek tinka Aashiyane ki jagah le sakta h
???

Monday, August 16, 2010

Socha tha sub kuch badal jayega waqt ke sath,
ye nirasha tere daman se door jane ke dar se h,
kabhi -2 ek pal me kho jati h sadiyon ki roshni,
To khabhi door - door tak hota hai andhera,
Or suraj ki koi kiran door tak nazer nhi aati hai,
Par jab jagti hai aasha es nirasha ke beech,
Ek aahat huye bina hi wo Maa ka aanchal,
Jo deta hai itna sahara ki andhera door ho jata h,
sadiyon ke andhere se baher aati hai roshni,
Roshni nai umeedon ki, nayi aashaon ki es tarah,
ki ghana andhera bebus ho jata hai apne ant ke liye,
sahmi hui jindgi muskurane lagti hai,
suraj ki dhoop ke sath hi bahne lagta hai,
wo lahoo jo sadiyo se thama hua tha andere k aagosh me,
khil khilane lagti hai kaliyan barson ke baad,
Par ye kya hua achanak se ye sooraj ki dhoop,
badhne lagi aantkaal me or murjhane lgi,
wo kaliyan jo sadiyon se andhere me suraj ki ,
dhoop ke liye intzaar kar rahi thi.............
kuch bhi aisa nhi hua jaisa socha tha.....

Monday, July 5, 2010

Kya hoga Ager Hum Mil Na Payege

Kitni mushkile hai rahon,
Kitne katein chubhe hai paon me,
ye hum kisi ko bta na payege,
Kya hoga ager hum mil na payege,

Duniyan ki rashme purani hai,
Riwajon ki bhi lambi katar hai,
En rashmon ki deewar ko kaise girayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Mushkilon se bhara hua hai rasta,
Or har taraf taraf andhera chaya hai,
ab hum apne aapko kaise bachayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Toofan se bhare ye din or raat hai,
or us par barish bhi ghani hai,
Aise me kab tak aasha k deep jalayege,
kya hoga ager hum mil na payege,

Ek pal aayega aasha ka sawera lekar,
Nirasha bhara pal kho jayega ,
Es soch ke sath ab jeevan bitayege,
kya hoga ager hum mil na payege.

Wednesday, May 26, 2010

Pata Nahi Kyo

kisko pta ki mitti ke kachhe ghade par bani wo aakritiyan,
jinko ye bhi nhi pta ki unka kal kya hoga,
dekho wo aakritiyan kitni pyari lag rahi hai,
Par En aakritiyon ko maloom nhi h ki ,
unka aadhar jis par wo bani h wo kachha hai,

Kachha hai wo itna ki paani ke sparsh se toot jaye,
Kachha hai wo itna ki halki si thoker se bikhar jaye,
Es kachhe aadhar ke sahare apni sunderata ko,
Dikhati ye aakritiyan jo kisi ka bhi man jeet le,

Par Jisne En aakritiyon ko banaya hai ,
wo kaise khush ho rha hai apni kala par,
ye jante huye bhi ki pta nhi ye kachha mitti ka ghada ,
Agni me pakne ke bad surakshit bhi bach payega ya nhi,

Es ghade ko wo dobara dekh bhi payega ya nhi,
Wo ghada pakne ke baad kisi ke kaam aayega ya nhi,
Pta nhi wo jaisa hai waisa hi rahega ,
ya khodegqa apni sunhari aakritiya aag me jhulsne k bad,

Par suchhai to ye hi hai ghada pak bhi gya to,
uska aadhar pahle se to majboot ho jayega ,
Kyoki ab paani or halki toker se wo tootega nhi,
ab to hum paani ko ghade me bharker rakh skte h,

Par mujhe lagta hai wo or bhi kamjor ho gya hai,
kyoki ab jo aakritiyan dhundhli lag rhi h us par,
wo dobara nhi chamkayi ja sakti hai or jo mit gayi h,
un aakritiyon ko ab dobara nhi bnaya ja sakta hai,

Abhi bhi wo kuch unchai(height) se girane k baad,
toot kar bikhar jayega phir kya jrurat thi usko pkane ki,
un chamakti aakritiyon ko dhundhla banane ki,
kyo wo itna khush tha jisne ese banaya tha ye sab jante huye...........!

Monday, May 17, 2010

Guru Vaani

Dhool tere charno ki dati sbko to nhi milti hain,
jis pe ho jaye kirpa teri wo hi kaliyan khilti hain,
bhakt hazaron tere mandir me aate darshan pane ko ,
tarah-tarah ki bhet chadaye maiya tujhe rijhane ko- 2 ,
bina prem ki en bheton se maiya nhi badalti h,

jis pe ho jaye kirpa teri wo hi kaliyan khilti hain,
Dhool tere charno ki dati sbko to nhi milti hain,
mandir jaye bhajan karan ko karte baat jamane ki,
edher-udher ke jod ke naate soche maal kamane ki-2,
edher-udher ka dhan khane se maan ki gati badlti hai,


jis pe ho jaye kirpa teri wo hi kaliyan khilti hain,
Dhool tere charno ki dati sbko to nhi milti hain,
bhawan ke ander jab maan ambe jab prashad baat ti hai,
karmon ,k e lekhe jokhe se --2 gun or dosh chant ti hai,
bhar deti hai jholi khali phir bhi khali milti hai,

jis pe ho jaye kirpa teri wo hi kaliyan khilti hain,
Dhool tere charno ki dati sbko to nhi milti hain,
sachhi seva prem bhaw se guru war jo din-raat krein,
bhed bhaw na krein kisi --2 na edher -udher ki baat krein--2,
khush rakhte hain jo oro ko,
unko khushiyan milti hai,
jis pe ho jaye kirpa teri wo hi kaliyan khilti hain,
Dhool tere charno ki dati sbko to nhi milti hain

Above Lines are taken from my guruji's prawachan

Thursday, May 13, 2010

Aaj kal Kal-aaj me din gujar rahe h,
kuch meethi yadein beet rahi h,
kuch Kadwi yadein gujar gayi h,
kuch naye sapne Ankhon me panap rahe,

Aaj kal Kal-aaj me din gujar rahe h,
Kal ka saffer bhi suhana tha,
aaj ka saffer bhi muskil nhi h,
Aane wale kal ke ab to sapne saj rhe h,

Aaj kal Kal -aaj me din gujar rahe h,
jama kar le yadon ki poonji,
beetein pal na phir aayegi,
ho jayegi yadein dhundhli jab,
bheithe kahin en yadon ko dohrayege,

Aaj kal Kal -aaj me din gujar rahe h,
yaad krege school ki batein to phir se teen age me phuch jayege,
yaad aaya jo clg time phir se BITS me phuch jayege,
IIT ka entrance to kabhi bhool na payege........

Aaj kal Kal -aaj me din gujar rahe h
:)))







Tuesday, May 11, 2010

Jeevan Kaal

Kal hi ki to baat thi,
Sadak ke donon kinare pr
Podhe (ped) lagaye the
Apni purani duniyan ko chodkar
ek nayi duniyan me aaye the
esliye murjhaye huye the

Murjhaye bhi kyo nahi
Sab kuch ajnabi tha yhan pr
uske sath -sath dusre ped bhi to khush nhi the
Par udasi jyada dino tak nhi rahi
dheere-dheere ye nai mittti apni lagne lagi

Es nai mitti ko apna samajh kar
wo sabhi murjhaye ped panap ne lage
phir es mitti ne bhi apna liya pedon ki jadon ko
or dekhte hi dhekhte chote-chote podhe
ghanen chayadar pedon me badal gaye

Ab ye ped jeevan yapan k liye phall(fruits)
Or chilmilati dhoop se bachane ke liye chaya dene lage h
Sath hi sath nai kaliyon or phoolon ki mahak bhi bhut manbhawni h
aaj ped ko fakr hota h apni kurbani par
or etrata hua hawa me jhoom raha h

Ab sabkuch apna lagta tha en pedon ko
koi bhi ajnabi nhi rha tha wahan par
sabhi ek-dusre ke sath the
kabhi tej hawa se bachne ke liye
sir se sir milakr ek dusre ko sahara dete
to kabhi naye mousam ke swagat me apni dali jhuka dete

Kabhi Patjhad ka mousam aaye to
chod dete h purane patton ka sath
ho jate h bhut akele par nhi chodte nai jeevan ki aass
es aasha ke sath phir naye patton ka uag aana
ho jate hain khush phir nayi duniyan k sath






Monday, May 10, 2010

Ek Vichar

nadiyan ka kal -kal krta paani,
koyal ki meethi vani,
badlon ki neeli chader,
chaand ki brson purani prem khani
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

suraj ka nikalna,
hawa ka mand-mand bahte rhana,
Patton ki sarserahat,
phoolon ki mahak
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

Rang-birange phoolon ka chaman,
babool ke ped ke nukile katein
Lamba kathin rasta,
aise wipreet samay me teri
bholi si muskurahat
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

kisi ka milkar bichad jana
kisi ka ek baar milkar
jeevan bhar sath nibhana
kisi ka pyar bhra aanchal
or wo gahri neend me so jana
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

kyoki prakriti k ye sare roop h
kabhi sukhdai to kabhi wipreet h
manav jeevan me kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

Thursday, May 6, 2010

Anjane Rastein

jane koun sa pal jeevan ka rukh badal jaye,
Hazaron ki bheed me, kab koi mann ko bha jaye,
Baat h hairani ki sbkuch samajh kr bhi kyo tuu samajh na paye,

Jane kb konsi baat es pagal mann ko choo jaye,
aa jaye jeene ka sleeka, jo kisi ko bhi lubha jaye,
Baat h hairani ki sbkuch samajh kr bhi kyo tuu samajh na paye,

Tere ek aahat se, kisi ke dil ka darwaza khul jaye,
kadam bdhana jara samabhal kr, khin thokar na lag jaye,
Baat h hairani ki sbkuch samajh kr bhi kyo tuu samajh na paye,

Ye rasten hai anjane khin tuu bhatak na jaye,
rakhana nazar manzil par, khin wo kho na jaye,
Baat h hairani ki sbkuch samajh kr bhi kyo tuu samajh na paye,






Wednesday, May 5, 2010

Tuesday, May 4, 2010

Tanhai ka mousam h

Tanhai ka mousam h, sansnahat bhi koi nhi h,
tum aaoge kaise , abhi to aahat bhi soi hui h,

Raah sari suni pdi h,Patton ki sarsarahat bhi khoi hui h,
tum aaoge kaise , abhi to aahat bhi soi hui h,

Raah dekhte -dekhte teri, ye meri aankhein thakti nahi h
tum aaoge kaise , abhi to aahat bhi soi hui h,

Ek baar chahoo tujhe dekhna, En ankhon ko teri aadat si pad gai h,
tum aaoge kaise , abhi to aahat bhi soi hui h,

Dekhoo jo ek baar chahoo 100 baar dekhna, ye meri kalpana ki kalpana ban gai h ,
tum aaoge kaise , abhi to aahat bhi soi hui h,
















Waqt Badalta Rahta hai

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
es badalte waqt ke sath bhut kuch badl jata h,
jaise deewaron par lga rang, pedon ke patton ka tutna or phir se nai patte aa jana,
to kabhi gaon ke mohalle ka wo toota-phoota rasta,
achha lagta h jab ye sab badlta h,

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
Achha lagta us chote se gaon ko chodkar shahar me aa jana,
Achha lgta hai wo phone Line ka mere gaon tak jana,
Achha lagta h bijli ke khambhon ka mere gaon tk phuch jana,
Par achha nhi lagta sadkon ka khali rah jana,
sab achha lgta h......

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
Par achha nhi lagta kisi apne ka ,
hawa k rukh ke sath badal jana,
Accha nhi lagta wo bachpan ke din beet jana,
Achha nhi lagta us gaon ki galiyon ka mujhse ruth jana
nhi achha lagta h mujhe..........

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
nhi achha lagta band kamre me waqt bitana,
mujhe achha lagta tha neem ke ped ki ghani chaon me charpai bicha kar so jana,
mujhe achha lagta tha Maa ke hath ki bani pahli roti ke liye jhadna,
Par nhi achha lagta naan khana,
mujhe achha lagta tha ,wo beeta hua jamana........
Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
kabhi achha lagta tha wo baat- baat par ruth jana,
achha lagta tha wo Pitaji ka mujhko manana,
Achha lagta tha chachaji ke sath ghoomne nikal jana,
Par aaj achha lagta h , un lamhon ko yaad karke aankho me pani aa jana..............

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h,
kya wo beetein pal phir se aayege,
Agar nhi to......... Achha lagta baar - baar unhein khayalon me lana..........

Waqt badal rha hai...... Waqt badalta rhata h

Do Shabd Maa ke liye

Aaj me bhut khush,
mein bhut khush hoon aaj,
ek adhuri murad puri ho gai, tere darshan paker ,
aankhein khushi se num ho gai,
aisa lgta h ki tune aanchal me apne chupa liya ho mujhko,
barson se taras rhi thi jis khushi ke liye ,
aaj tune wo mere aanchal me dal di,
aaj bhut khush hoon mein...... but khush hoon aaj,

waise to mousan bdlte rhte hai,
pr lete h jo naam tera, unhein mousam k bdlne ka dar nhi hota,
jo nikal pdte h tera naam lekr, unhein kbhi koi gum nhi hota,
khin bhi jaye, whi shohrat paye ,
jo noor jlta h teri jyoti se , uska ujala kbhi kam nhi hota,
aaj bhut khush hoon mein........... bhut khush hoon aaj

jamana kya khta h parwah na kar,
Maa ka naam lekr bdhta chal,
Maa samajhti h teri lagan ko,
ek din jamana bhi samajh jayega,
Katein jo bichayega raah mein teri,
wo kbhi safal nhi ho payega,
khushiyan barsaigi Maa itni,
ki katein bichane wala bhi dekhta rah jayega,
aaj mein bhut khush hoon.............bhut khush hoon aaj

Monday, May 3, 2010

tumhare sath-sath

Andhere se Roshni ki aur,
jana hai mujhe tumhare sath-sath,
hathon me hath ho ya nhi,
door rhte ho tum phir bhi,
bhawnao me hr pal tumhara sath hai,
Mujhe andhere se roshni ki aur,
jana hai tumhare sath-sath,
badlon ko choona hai,
dhoop ko muthhi me band krna h,
bhti ndi ki chlti lhron ko rokna h,
chand ki chandni ko smetna hai,
akele nhi tumhare sath-sath,
Mujhe andhere se roshni ki aur,
jana hai tumhare sath-sath