Monday, May 10, 2010

Ek Vichar

nadiyan ka kal -kal krta paani,
koyal ki meethi vani,
badlon ki neeli chader,
chaand ki brson purani prem khani
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

suraj ka nikalna,
hawa ka mand-mand bahte rhana,
Patton ki sarserahat,
phoolon ki mahak
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

Rang-birange phoolon ka chaman,
babool ke ped ke nukile katein
Lamba kathin rasta,
aise wipreet samay me teri
bholi si muskurahat
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

kisi ka milkar bichad jana
kisi ka ek baar milkar
jeevan bhar sath nibhana
kisi ka pyar bhra aanchal
or wo gahri neend me so jana
kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

kyoki prakriti k ye sare roop h
kabhi sukhdai to kabhi wipreet h
manav jeevan me kuch bhi alag to nhi h prakriti se.....

No comments:

Post a Comment