Tuesday, May 11, 2010

Jeevan Kaal

Kal hi ki to baat thi,
Sadak ke donon kinare pr
Podhe (ped) lagaye the
Apni purani duniyan ko chodkar
ek nayi duniyan me aaye the
esliye murjhaye huye the

Murjhaye bhi kyo nahi
Sab kuch ajnabi tha yhan pr
uske sath -sath dusre ped bhi to khush nhi the
Par udasi jyada dino tak nhi rahi
dheere-dheere ye nai mittti apni lagne lagi

Es nai mitti ko apna samajh kar
wo sabhi murjhaye ped panap ne lage
phir es mitti ne bhi apna liya pedon ki jadon ko
or dekhte hi dhekhte chote-chote podhe
ghanen chayadar pedon me badal gaye

Ab ye ped jeevan yapan k liye phall(fruits)
Or chilmilati dhoop se bachane ke liye chaya dene lage h
Sath hi sath nai kaliyon or phoolon ki mahak bhi bhut manbhawni h
aaj ped ko fakr hota h apni kurbani par
or etrata hua hawa me jhoom raha h

Ab sabkuch apna lagta tha en pedon ko
koi bhi ajnabi nhi rha tha wahan par
sabhi ek-dusre ke sath the
kabhi tej hawa se bachne ke liye
sir se sir milakr ek dusre ko sahara dete
to kabhi naye mousam ke swagat me apni dali jhuka dete

Kabhi Patjhad ka mousam aaye to
chod dete h purane patton ka sath
ho jate h bhut akele par nhi chodte nai jeevan ki aass
es aasha ke sath phir naye patton ka uag aana
ho jate hain khush phir nayi duniyan k sath






No comments:

Post a Comment