Tuesday, September 28, 2010

Mera Aashiyana

Jab bikhar gya mera aashiyana tinke-tinke,
Taak rahi thi mein sahmi si ek-ek tinke ko ,
Par kuch tinke taar-taar ho gye hai ,
Waqt ke sath go chuke hai apni pahchan ko,

Kise pta tha ki ye din bhi aayega jab ,
Ek hi aagan me khadi hogi deewar ,
Or tootege sapne apno ke sath rhne ke,
Rah jayegi jhulasti hui aashayen,

Kisi ne nhi poocha mujhse kaise ye ,
Chota sa aangan sajaya tha meine ,
Gujara tha bachpan apna jisme ,
Aaj bachpan ke sath-sath wo aangan bhi nhi rha,

Unhen nhi pta hai kaise ek-ek tinka sanjoya tha,
Wo to bus apne -apne hisse ke bare me soch rhe the,
Or sb kuch kam pad rha tha unko,
Or kam ho bhi kyo na us aasiyane ki,
Tulna tukdo se jo kar baithe the wo,

Unhe nhi hai aabhash kya kiya hai unhone,
Unhe nhi pta hai kadakti dhoop se kaise bachna hai,
Shayad esliye unhone sapne dekhe bhi to es,
Asshiyane ko taar taar krne ke..............

Kya ek tinka Aashiyane ki jagah le sakta h
???

No comments:

Post a Comment